Follow Us on Twitter

Dil Kah Raha Hai



Dil kah raha hai ki aakash mein ud jau
Un nanhe panchhio ke sath mein bhi nikal jau
Palko pe rakh ke apne dil ko
Dhadkane mahsoos karta chala jau


Us bhure pathar ke upar baithu
Manbhavan dharao ko dekhta chala jau
Chaar kankad zara mein bhi utha lu
Pani ke sath zara mein bhi masti kar lu


Rassi ke us jhulte pul par
Mein bhi hawa se daud lagau
Amrood ke ped ki us daal pe
Chidia ke saath baithkar amrood khau


Us rang birangi machhali ki tarah
Mein bhi aankhon ko thandak pahuchau
Dhoop mein susta rahe us magarmachh ki
Peeth par baithkar daria ghoom kar aau


Mandir mein rakhe us pathar ki tarah
Mein bhi chandan se lepa jau
Subah ki pahli kiran ki tarah
Mein bhi din ki shuruaat karau


Dil karta hai is zindgi ko
Nihar sambhal ke fir se jeene lag jau

1 comments:

Anonymous said...

acha hai. :) likh te reh aisa hi kuch kuch :)
time pass acha ho jaayega :P

Post a Comment

Please Tell how it is